Itna udas shaam ka manzar kabhi na tha,
sooraj ke sath doob gaya mera dil bhi aaj…
Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne wale..
Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
Mout ke baad yaad aa raha hai koi,
mitti mery kabr ki utha raha hai koi,
a khuda do pal ki zindgi or de de,
mery kabr se udas ja raha hai koi…
Dil gumsum, Zubaan Khamosh,
Aankhein aaj num kyon hai?
Jo kabhi apna hua hi nahin
Use aaj khone ka gum kyon hai
Dard-e-dil mein gam ki kaliya khilti hai,
Ab toh tanhai bhi aksar humse milti hai,
Aapne band kiya jabse yaad karna,
Humari parchhayi bhi humse ruth kar chalti hai.
Humare dilki gehrai ko koi samjh paya hi nai,
Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi nahi,
Kisi ko humari kami mehsoos ho,
Khuda ne hume aisa banaya hi nai…
Unke saath rehte hai par izhar kar nahi sakte,
Unse pyaar karte hai par keh nahi sakte,
Yeh kaisa pyaar hai mera,
Unhe chahkar bhi pa nahi sakte.
Naa jaane kyu hame aansu bahana nahi aata,
Naa jane kyu haal-e dil batana nahi aata,
Kyu mere masuka bichad gayi humse,
Shayad hame hi saath nibana nahi aata!
Mere Zindagi ek band kitab hai
Jise aaj tak kisi ne khola nhi
Jisne khola us ne parha nhi
Jisne parha wo samjha nhi
Aur jo samaj saka wo mila nhi
Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai.
Sun liya hum ne faisla tera
Aur sun ker udaas ho baithey
Zehan chup chaap ankh khaali
Jaisey hum kianaat kho baithey
Beetay pal wapas la nahi sakte
Sukhe phool wapas khila nahi sakte
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
par dil kehta hai ke aap hamein bhula nai sakte.,
Ek janaza or ek baarat takra gaye..
unko dekhne wale b chakra gaye..
uper se awaz aai, ye kaisi vidai hai..
mehboob ki doli dekhne yar ki mayyat aai hai…
Mujhe sab kuch kabool hai ae Falak!
Gham-e-Yaar mujhse talb na ker
mein usey kese dil se juda keron
jo meri umer bher ki taalash hai
Home | latest
new very sad jokes collection | sad jokes | shayari
jokes