Pal-pal tarse us pal ke liye,
Pal aaya bhi to kuchh pal ke liye.
Socha tha use zindagi ka sabse hansi pal bana lege,
Par wo pal bhi ruka to bas ek pal ke liye

Badi aasani se dil lagaye jate hain,
Par bari mushkil se wade nibhaye jate hain,
Le jaati hai mohabbat un rahon par,
Jahan diye nahi, dil jalaye jaate hain!!

Saari duniya ko mohabbat ki khabar hone de,
Apne aagosh mein sar rakh kar mujhe sone de,
Kaun pochhega tere baad yeh bheegi palkein,
Aaj ki raat to Jee bhar ke mujhe rone de

Kya gam hai Kya Khusi hai maloom nahi...
Kaun Apna hai Kaun Begana maloom nahi...
Jiske bina ek pal nahi Guzarta...
Uske bina kaise guzregi Zindagi maloom nahi...

Kagaz par hamne zindgi likh di,
Aankhon se seench kar khushi likh di,
Dil ka dard jab bhi hum laaye lafzon pe,
Zamane ne kaha dost wah kya ghazal likh di

Pyar to zindagi ka afsana hai,
Iska apna hi ek tarana hai,
Pata hai sabko milenge sirf aansu,
Par na jaane har koi kyun iska diwana hai.

Itna dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain,
Hosh gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain,
Hamne to tumhare siwa duniya bhi nahin dekhi,
Aaj bhari duniya mein tanha nazar aa rahe hain.

Wo aaj bhi hamse nafrat karte hain..
Hum aaj bhi sirf unpar Hi marte hain....
Nafrat hai to kya hua yaar...
Kuch to hai jo sirf wo hamse karte hain.....

khwab plko se girkar juda ho gye,wqat meri tabhahi pr hasta rha.....
Mein ujalo ki nakam hasrat liye umer bhar mom bankar pinghalta rha......

Kisi ne bura to kisi ne acha mana mujhe, jisme jitni insaniyat thi usne utna he apna mana mujhe, pyar to mujhe sbse hai par y kudrat ka khel hai ki sbne pyar k layak mana nahi mujhe

khuda na kare aisi koi sham aaye,
mere labo pe aapka naam na aaye,
khushiyon se bhara ho aapka har pal,
meri ye dua zindgi bhar aapke kaam aaye..

Zindagi roz naye rang mein dhal jaati hai,
Kabhi dushman to kabhi dost nazar aati hai,
Kabhi chha jaye, baras jaaye, ghata bemausam,
Kabhi ek boond ko bhi rooh taras jaati hai.

Zindagi ka raaz maine tanhayi mein paa liya,
Jiska bhi gham mila apna bana liya,
Sunane ko mila na koi Dastaan-e-Gham,
Aaina rakha saamne or khud ko suna liya.

Us ke chehre par is kadar noor tha,
Ke uski yaad mein rona bhi manzoor tha,
Bewafa bhi nahi keh sakte us ko faraz,
Pyar to hamne kia hai woh to bekasoor tha

Rastaa Maalum Nahi Phir Bhee Chale Jaa Rahaa Hun
Jaam Khali Hain Phir Bhee Piye Jaa Rahaa Hun
Jaan Kar Bhee, Ke Mohabbat Mere Naseeb Mein Nahi
Ek Khwaab Ke Sahaare Jiye Jaa Rahaa Hun.

Wo samne the aur hum palke utha na skhe,
Chahte the pr pas unke ja na skhe,
Na dekh le wo apni tasvir harmari akho mai,
Bas yahi soch kr hum unse nazre mila na skhe..




Funny sms |

Free Web Hosting